
Meri umar 32 saal hai, aur main ek divorcee hu. Sasural walo ke atyachaar ki wajah se meri marriage toot gayi. Meri marriage 26 saal ki umar mein hui thi. 6 maheene ke andar mere sasural walo ne mujhe itna mentally torture kiya, ki main bardasht nahi kar payi, aur maine apne ghar walo ko bata diya.
Unhone maamla suljhaane ki koshish ki, lekin mere sasural waale samajhne ko taiyaar nahi the. Finally divorce ka fainsla le liya gaya. Divorce ke baad main apne ghar wapas aa gayi.




















Write a comment ...